Spotting
 Timeline
 Travel Tip
 Trip
 Race
 Social
 Greeting
 Poll
 Img
 PNR
 Pic
 Blog
 News
 Conf TL
 RF Club
 Convention
 Monitor
 Topic
 #
 Rating
 Correct
 Wrong
 Stamp
 PNR Ref
 PNR Req
 Blank PNRs
 HJ
 Vote
 Pred
 @
 FM Alert
 FM Approval
 Pvt
News Super Search
 ↓ 
×
Member:
Posting Date From:
Posting Date To:
Category:
Zone:
Language:
IR Press Release:

Search
  Go  
dark modesite support
 
Wed Sep 25 21:54:48 IST
Home
Trains
ΣChains
Atlas
PNR
Forum
Quiz
Topics
Gallery
News
FAQ
Trips
Login
RailCal Android App
RailCal iPhone App
Advanced Search
<<prev entry    next entry>>
News Entry# 570976
Today (19:44) Flooding in Bihar: Ganga River Overflow, Train Services Disrupted, Roads Closed
643 views
0

Entry# 6201319   
  Past Edits
Sep 25 2024 (19:44)
Station Tag: Bhagalpur Junction/BGP added by Exynos9611~/2099623

Sep 25 2024 (19:44)
Station Tag: Munger (Monghyr)/MGR added by Exynos9611~/2099623
वॉर्निंग लेवल से ऊपर गंगा, रेलवे ट्रैक-हाईवे पर भरा पानी:मुंगेर-जमालपुर रूट पर 8 ट्रेनें कैंसिल, 20 डायवर्ट; भवनाथपुर-सबौर में NH-80 पर आना-जाना बंद

Due to heavy rainfall in the preceding days and rain in Nepal, the Ganga river and other rivers in Bihar are overflowing, impacting railway tracks and highways. The water level in the Ganga is rising in Bhagalpur, Munger, and Khagaria, leading to the cancellation of 8 trains and diversion of 20...
more...
between Bhagalpur and Jamalpur. 14 trains have been short-terminated. NH-80, connecting Bhagalpur to Jharkhand, is submerged at two points, causing a complete road blockade. The water has reached the railway track in the Jamalpur-Bhagalpur section, halting train operations. The situation has caused widespread disruption to transportation and daily life, affecting roads, schools, and homes. The water level is above the danger level in Bhagalpur and Munger, leading to flooding in several areas, including TNB University and engineering college campuses. The district magistrate has appealed to people in affected areas to use government boats for transportation.

Bihar me monsoon do din se active nahi hai, par usse pehle hui baarish aur Nepal me hui baarish ki wajah se Ganga aur Bihar ki kai nadiyan ufaan par hain. Railway track se lekar highway tak pani bhar gaya hai. Iska asar train ke chalane aur gaadiyon ki aawaajahi...
more...
par pad raha hai. Bhagalpur, Munger aur Khagaria me Ganga ka jalastar lagatar badh raha hai. Sulatangaanj station se Ratanpur station ke beech kai jagah par rail patari par pani chadh gaya hai. Is wajah se Bhagalpur-Jamalpur ke beech 8 train cancel kar di gayi hain aur 20 ko divert kiya gaya hai. Jabki 14 ko short terminate kiya gaya hai. Dusri taraf, Bhagalpur-Kahalgaon NH-80 sahit 30 grameen sadkon par pani chadh gaya hai. Mukhhya sadak se sampark tut gaya hai. NH-80 par 2 jagah par karib 200 meter tak pani faila hai. Is wajah se is road se gaadiyon ka aawaagaman puri tarah se thap ho gaya hai. NH-80 se zariye gaadiyan Bhagalpur se Jharkhand tak jati hain. Par abhi gaadiyon ko dusre route se jana pad raha hai. NH 80 par pani aane ke baad log Kahalgaon, Pirpainti se lekar Jharkhand tak jaane walo ko ab route badal kar jana pad raha hai. Goradih ke raste Sanhaula, Ghoghha hote hue log Kahalgaon aur Pirpainti pahunch rahe hain. Is wajah se karib 15 kilometer duri tay karni pad rahi hai. Jamalpur-Bhagalpur railkhan par baad ka pani railway track tak pahunch chuka hai. Pillar number 195 ke grader tak pani pahunch jaane ke karan is route par trainon ka chalana band kar diya gaya hai. East Railway Malda Division ke DRM Manish Kumar Gupta ne kaha ki Ganga me baad ki sthiti hai. Yeh mukhya pul hain, khaas kar Bariyarpur aur Ratanpur ke beech mein hai. Kal raat 23.50 baje pani ka jalastar guarder ko chhu gaya tha. Yaatriyon ki suraksha ko dhyan mein rakhkar Bhagalpur se Kiul tak trainon ki aawaajahi rok di hai. Jo badi duri ki gaadi hai, use divert kar rahe hain. Kuchh ko cancel kiya jo kam duri ki hai. Jo trainen cancellation ke time mein beech raste mein thi, kuchh log Bhagalpur jaane wale the, unlogon ke liye humne special chalaai hai. Sultanaganz koi bhi train nahi ja rahi hai, jis wajah se yaatriyon ko kaafi pareshani ho rahi hai. Ratanpur station par maujood ek rail yaatri ko Ratanpur se Devghar jana tha. Unhone bataya ki main raat se hi Ratanpur station par hu, lekin raat 10:00 baje ke baad se koi bhi train is route par nahi aai hai. Mujhe Devghar jana tha jis wajah se raat se hi train ka intezaar kar raha hu. Subah 6:00 baje jaankaari di gayi ki Bhagalpur se Jamalpur ke beech sabhi tarah ki trainon ko radd kar diya gaya hai. Bhagalpur shahari ilaqe mein bhi pani ghusa hai. Tilka Manjhi Vishwavidyalaya campus jalmagn ho gaya hai. Mahila PG hostel mein pani ghusa to chhatrayan hostel khali kar chali gayi. Engineering college campus bhi jalmagn ho gaya hai. Dusri taraf Nathnagar mein bhi baad ka sankat gahara hua hai. Kai ilaqe yahan jalmagn ho gaye hain. Gosaai Daspur jaane wali sadak par baad ka pani hai. Yahan sadak par ab naav chal rahi hai. Sahebganj-Nathnagar road bhi jalmagn hai. Bhagalpur mein shukravaar ko danger level se 58 centimeter upar se pani bah raha tha. Kendriya jal aayog ne jalastar mein badhotari ki sambhavna jatai hai. Wahin, Munger mein abhi Ganga khatre ke nishan se lagbhag 60 centimeter se upar bah rahi hai. Jis wajah se Bhagalpur-Jamalpur railkhan par rail sewa badhit hui. Bhagalpur shahar mein Adampur, Manik Sarkar, Naya Bazaar ke chhe se adhik mohalle mein pani ghushne se log gharon mein qaid ho gaye hain. TNB University aur engineering college campus mein bhi pani ghusa hai. NH par pani ka bahaav hone se aawaagaman prabhavit ho gaya hai. Jila mukhyaalaya se sampark kat gaya hai. Entry point se pehle hi Akbarnagar, Sabour aur Goradih ke Jamsi se aane wale wahanon ka sampark tut gaya hai. 105 se adhik schoolon mein pani ghushne se pathan-pathan thap ho chuka hai. Bhagalpur ke Murarapur se lekar Maheshi tak 18 se adhik gaonon ka mukhya marg se sampark bhang ho gaya hai. Kishanpur panchayat ke Rannuchak, Makandpur, Khutkha, Gauripur, Bhawanathpur, Chit Makandpur ka mukhya marg se sampark bhang ho gaya hai. Bhagalpur jiladhikari Dr. Naval Kishor Chaudhary ne prabhavit kshetra aur jile ke logo se appeal ki hai ki Ganga nadi ka jalastar badhne se Bhagalpur ke vibhinn ilakon mein pani pravesh kar gaya hai. Pani sambhavatah kal se sthira rahega.
Scroll to Top
Scroll to Bottom
Go to Mobile site
Important Note: This website NEVER solicits for Money or Donations. Please beware of anyone requesting/demanding money on behalf of IRI. Thanks.
Disclaimer: This website has NO affiliation with the Government-run site of Indian Railways. This site does NOT claim 100% accuracy of fast-changing Rail Information. YOU are responsible for independently confirming the validity of information through other sources.
India Rail Info Privacy Policy